Jis Ki Aankhon Mein Koi Rang-e-shanasai Na Tha

jis ki aankhon mein koi rang-e-shanasai na tha

us se milne ka mera dil bhi tamannai na tha

hum dayar-e-ghair mein kahte rahe hain dil ki baat

ek apne shahr hi mein izn-e-goyai na tha

jazba-e-dil ke bahak jaane se ruswa ho gae

kucha-e-mahbub warna ku-ruswai na tha

zulmat-e-shab ko jahan nur-e-sahar kahte the log

mera sach kahna sazawar-e-pazirai na tha

dad bhi deta na tha wo mere jazb-e-shauq ki

KHamushi aankhon mein lab par harf-e-goyai na tha

teri be-mehri na thi kotahi-e-qismat bhi thi

kar-zar-e-dil mein warna shauq-e-paspai na tha

meri apni zat hi ek anjuman se kam na thi

is liye 'sajjad' mujh ko KHauf-e-tanhai na tha

(535) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Jis Ki Aankhon Mein Koi Rang-e-shanasai Na Tha In English By Famous Poet Mohammad Sajjad Mirza. Jis Ki Aankhon Mein Koi Rang-e-shanasai Na Tha is written by Mohammad Sajjad Mirza. Read famous Poem Jis Ki Aankhon Mein Koi Rang-e-shanasai Na Tha for youth and Student by Mohammad Sajjad Mirza. Free Download Jis Ki Aankhon Mein Koi Rang-e-shanasai Na Tha in PDF.