Bit Gaya Hai Pyar Ka Mausam Ghar Ghar Sahra Jaisa Hai

bit gaya hai pyar ka mausam ghar ghar sahra jaisa hai

dil ke darwaze par ab to KHamoshi ka pahra hai

sat samundar par jo aa kar dasht-e-faza ko dekha hai

ret ka manzar aankhon mein hai dil mein KHauf ka dariya hai

us ki kashti Dub gai thi bich bhanwar mein aa ke magar

kis mushkil se jaan bacha kar sahil tak wo aaya hai

zulmat ki rahon mein hum bhi gum ho kar rah jate magar

nur ka paikar sath hamare aage aage chalta hai

bhul gaya hun sab kuchh 'salim' mujh ko kuchh bhi yaad nahin

yaadon ke aaine mein ab ek ek chehra dhundla hai

(506) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Bit Gaya Hai Pyar Ka Mausam Ghar Ghar Sahra Jaisa Hai In English By Famous Poet Mohammad Salim. Bit Gaya Hai Pyar Ka Mausam Ghar Ghar Sahra Jaisa Hai is written by Mohammad Salim. Read famous Poem Bit Gaya Hai Pyar Ka Mausam Ghar Ghar Sahra Jaisa Hai for youth and Student by Mohammad Salim. Free Download Bit Gaya Hai Pyar Ka Mausam Ghar Ghar Sahra Jaisa Hai in PDF.