Achchhi Baaten

pyare bachcho tum ek kaam karo

apni neki se paida nam karo

ba-adab ba-nasib hota hai

tum buzurgon ka ehtiram karo

be-adab be-nasib hota hai

is liye sab ko tum salam karo

tum se naraaz ho agar koi

apni baaton se us ko ram karo

apne dushman se KHud gale mil kar

sare shikwe-gile tamam karo

jis kisi se milo to hans ke milo

narm lahje mein phir kalam karo

rah mein jab mile koi majbur

chhoD kar apna us ka kaam karo

baiThne se jahan mile neki

aisi majlis ka ehtimam karo

KHub mehnat karo paDhai mein

bas yahi kaam subh-o-sham karo

apne kirdar ke sahaare tum

ilm ka shauq sab mein aam karo

ilm hi la-zawal daulat hai

mushtahar bas yahi payam karo

(752) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Achchhi Baaten In English By Famous Poet Mohammad Sharfuddin Sahil. Achchhi Baaten is written by Mohammad Sharfuddin Sahil. Read famous Poem Achchhi Baaten for youth and Student by Mohammad Sharfuddin Sahil. Free Download Achchhi Baaten in PDF.