LaDi Is ThaT Se Mankuha-e-kafir-bayan Meri

laDi is ThaT se mankuha-e-kafir-bayan meri

farishte likhte likhte chhoD bhage dastan meri

mohalle-bhar ki diwaron pe sar hi sar nazar aae

mere bachchon ne jis dam luT li tarz-e-fughan meri

ajab kuchh lutf rakhta hai jo kahte hain miyan biwi

ki shadi ho gai lekin kahan teri kahan meri

musalman hun magar ye soch kar marne se Darta hun

na jaane kis ke ghar jae bala-e-na-gahan meri

wahi hai iKHtilaf-e-bahami ki anjuman ab to

faqat shadi ke din us ne milai han mein han meri

bahut shaista-e-andaz-e-guftan hai zaban us ki

nahin minnat-kash-e-tab-e-shunidan dastan meri

(569) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

LaDi Is ThaT Se Mankuha-e-kafir-bayan Meri In English By Famous Poet Mohammad Taha Khan. LaDi Is ThaT Se Mankuha-e-kafir-bayan Meri is written by Mohammad Taha Khan. Read famous Poem LaDi Is ThaT Se Mankuha-e-kafir-bayan Meri for youth and Student by Mohammad Taha Khan. Free Download LaDi Is ThaT Se Mankuha-e-kafir-bayan Meri in PDF.