War Bharpur Kiya Usne Ana Par Meri

war bharpur kiya us ne ana par meri

KHud bhi maghmum hua aah-o-buka par meri

waqt-e-aKHir bhi teri KHair KHuda se mangi

zindagi KHatm hui harf-e-dua par meri

sach bata ishq mujhe saKHt pareshan hun main

kyun KHafa hota nahin dost KHata par meri

reza reza hai meri jaan talab mein jis ki

us ko tashkik hai afsos-e-wafa par meri

us ke hathon ki nafasat pe giran thi mehndi

aa gai yaad use rasm-e-hina par meri

rang ghaalib na sahi ranj-e-mohabbat hi sahi

KHush nazar aate hain naqqad nawa par meri

us ka iKHlas musallam hai KHuda KHair kare

dost pahuncha nahin 'tanwir' sada par meri

(533) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

War Bharpur Kiya Usne Ana Par Meri In English By Famous Poet Mohammad Tanviruzzaman. War Bharpur Kiya Usne Ana Par Meri is written by Mohammad Tanviruzzaman. Read famous Poem War Bharpur Kiya Usne Ana Par Meri for youth and Student by Mohammad Tanviruzzaman. Free Download War Bharpur Kiya Usne Ana Par Meri in PDF.