Hijr Ki Be-tabiyan Thin Hasraton Ka Josh Tha

hijr ki be-tabiyan thin hasraton ka josh tha

husn ka aaghosh phir bhi husn ka aaghosh tha

hum to jis mahfil mein baiThe shaghl-e-naw-nosh tha

zindagi mein maut bhi aaegi kis ko hosh tha

zabt karte karte aaKHir phuT nikli dil ki baat

hans paDa gulshan mein jo bhi ghuncha-e-KHamosh tha

ehtiram-e-husn kahiye ya use rob-e-jamal

un ka parde se nikalna tha ki main behosh tha

mujh se puchho sarguzasht-e-mai-kada baada-kasho

tha kabhi mera bhi aalam main bhi baada-nosh tha

laghzishen meri musallam ibtida-e-ishq mein

aap ko bhi kuchh KHabar thi aap ko bhi hosh tha

ishq ka eajaz tha ye ishq ki tasir bhi

dil se jo nala nikalta tha sukun-e-gosh tha

koi kya samjha meri diwangi ko kya KHabar

aap ki nazron mein tha itna to mujh ko hosh tha

aaj tasbih-o-musallla le ke 'arif' ban gaya

kal jo ruh-e-mai-kada tha rind-o-baada-nosh tha

(525) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Hijr Ki Be-tabiyan Thin Hasraton Ka Josh Tha In English By Famous Poet Mohammad Usmaan Arif. Hijr Ki Be-tabiyan Thin Hasraton Ka Josh Tha is written by Mohammad Usmaan Arif. Read famous Poem Hijr Ki Be-tabiyan Thin Hasraton Ka Josh Tha for youth and Student by Mohammad Usmaan Arif. Free Download Hijr Ki Be-tabiyan Thin Hasraton Ka Josh Tha in PDF.