Wo Kaj-kulah Jo Kabhi Sang-bar Guzra Tha

wo kaj-kulah jo kabhi sang-bar guzra tha

kal is gali se wahi sogwar guzra tha

koi charagh jala tha na koi dar wa tha

suna hai raat gae shahryar guzra tha

guhar jab aankh se Tapka zamin mein jazb hua

wo ek lamha baDa ba-waqar guzra tha

jo tere shahr ko gulgun bahaar baKHsh gaya

qadam qadam ba-sar-e-nok-e-KHar guzra tha

wo jis ke chehre pe lipTa hua tabassum tha

chhupae hasraten dil mein hazar guzra tha

jise main apni sada ka jawab samjha tha

wo ek faqir tha kar ke pukar guzra tha

tere baghair baDe be-qarar hain 'asi'

tera wajud jinhen nagawar guzra tha

(602) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Wo Kaj-kulah Jo Kabhi Sang-bar Guzra Tha In English By Famous Poet Mohammad Yaqoob Aasi. Wo Kaj-kulah Jo Kabhi Sang-bar Guzra Tha is written by Mohammad Yaqoob Aasi. Read famous Poem Wo Kaj-kulah Jo Kabhi Sang-bar Guzra Tha for youth and Student by Mohammad Yaqoob Aasi. Free Download Wo Kaj-kulah Jo Kabhi Sang-bar Guzra Tha in PDF.