Abhi Bhuk Se Ek Chuha Mara Hai

murawwat hai dil mein na pas-e-wafa hai

na tirchhi hain nazren na banki ada hai

jawani musibat buDhapa bala hai

laDakpan ko dekho to murjha gaya hai

girani se duniya ko bawar hua hai

ki apne zamane ka hafiz KHuda hai

na maTke mein aaTa na Dibbon mein dalen

batae koi log kis ko paka len

ye farman hakim hai kis tarah Talen

kaha hai gharibon se angur kha len

patili hai KHali wahan kya dhara hai

abhi bhuk se ek chuha mara hai

namak par musibat masalon pe aafat

qayamat hai indhan pe dalon pe aafat

baDa gosht mahnga piyalon pe aafat

girani hui jine walon pe aafat

bacha hai to aafat se baniya bacha hai

sar-e-am sab ki girah kaTta hai

sunata hun kapDon ki uryan kahani

miyan bhaw par aa gai hai jawani

dukan mein gae to hue aan-jahani

guzarne laga hai mere sar se pani

ki khaddar bhi mahnga bahut ho chuka hai

rebate us pe das fisadi rah gaya hai

na kapDa na roTi na loTa na dhoti

pareshan hai pota bilakti hai poti

ki qimat mein gandum ka dana hai moti

ye mumkin nahin tha wiladat na hoti

har ek samt koh-e-nida chiKHta hai

jo paida hua mubtala-e-bala hai

zamana pareshan hai mahngaiyan hain

pareshan hasinon ki angDaiyan hain

na sehre na mehndi na shahnaiyan hain

dukan-dar lekin baDe kaiyan hain

jo ration mein paya mayassar hua hai

na jaane is aaTe mein kya kya mila hai

(802) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Abhi Bhuk Se Ek Chuha Mara Hai In English By Famous Poet Mohammad Yusuf Papa. Abhi Bhuk Se Ek Chuha Mara Hai is written by Mohammad Yusuf Papa. Read famous Poem Abhi Bhuk Se Ek Chuha Mara Hai for youth and Student by Mohammad Yusuf Papa. Free Download Abhi Bhuk Se Ek Chuha Mara Hai in PDF.