Buqraat Bahut Khata Tha

hum ne mahbub ke aiwan mein ja kar dekha

chin mein misr mein iran mein ja kar dekha

rus mein sham mein sudan mein ja kar dekha

aur phir KHana-e-sultan mein ja kar dekha

nosh-o-KHurdan hai nawishta tere diwane ka

jab hui KHushk to mahbub ki kakul ne kaha

wo jo maike gain un se yahi babul ne kaha

okhle walon se jamuna ke nae pul ne kaha

aur sunte hain ki babbu se ye abdul ne kaha

nosh-o-KHurdan hai nawishta tere diwane ka

roTiyan baiTh ke hotel mein pakata hai koi

madrase mein koi paDhta hai paDhata hai koi

apni Dholak liye darbar mein gata hai koi

aur Dafli sar-e-bazar bajata hai koi

nosh-o-KHurdan hai nawishta tere diwane ka

tujh ko fursat hi nahin apne jahan se mahbub

tu nikalta hai kabhi apne makan se mahbub

phir ye ilham hua tujh ko kahan se mahbub

main ne akasr ye suna hai teri man se mahbub

nosh-o-KHurdan hai nawishta tere diwane ka

faqa kar ke na buDhape mein jawani Dalo

peT mein pahle mere kuchh to bhawani Dalo

phir gale mein mere ulfat ki nishani Dalo

ghee mere khane mein kuchh aur mamani Dalo

nosh-o-KHurdan hai nawishta tere diwane ka

khane pine se jo mohlat kabhi pa jata tha

har moarriKH sar-e-tariKH pe farmata tha

wo arastu ho ki buqraat bahut khata tha

aur phir raat ko akasr yahi barraata tha

nosh-o-KHurdan hai nawishta tere diwane ka

(524) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Buqraat Bahut Khata Tha In English By Famous Poet Mohammad Yusuf Papa. Buqraat Bahut Khata Tha is written by Mohammad Yusuf Papa. Read famous Poem Buqraat Bahut Khata Tha for youth and Student by Mohammad Yusuf Papa. Free Download Buqraat Bahut Khata Tha in PDF.