Na Di Angrez Ne Ghaalib Ko Pension

bahut hun jaan se bezar yaro

hui talim dil par bar yaro

mujhe banna nahin fankar yaro

surayya se hai mujh ko pyar yaro

mujhe karni hai dil ki baat meintion

attention ai dil-e-nadan attention

hai bhautik-shastr mein ek chiz light

karen gar tajraba jati hai sight

ajab hoti hai kuchh rangon mein fight

ki mil kar sat ho jate hain white

mangao magnet dekho detention

attention ai dil-e-nadan attention

chalo ab period mehndi ka aaya

kahin darshan kahin rupak ki chhaya

guru ne sorTha jam kar paDhaya

hamari to samajh mein kuchh na aaya

'kabir' aur 'sur' mein rahta hai tension

attention ai dil-e-nadan attention

har ek science ka chhika gaDant hai

baDa dushman mere ji ka gaDant hai

tap-e-diq ka naya Tika gaDant hai

namak bilkul nahin phika gaDant hai

baDha jata hai har step pe tension

attention ai dil-e-nadan attention

hai urdu ka bhi lamba pir saqi

banati hai haram ko dair saqi

kahin 'momin' ka zikr-e-KHair saqi

kahin 'nasiKH' ki haalat ghair saqi

na di angrez ne 'ghaalib' ko pension

attention ai dil-e-nadan attention

(543) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Na Di Angrez Ne Ghaalib Ko Pension In English By Famous Poet Mohammad Yusuf Papa. Na Di Angrez Ne Ghaalib Ko Pension is written by Mohammad Yusuf Papa. Read famous Poem Na Di Angrez Ne Ghaalib Ko Pension for youth and Student by Mohammad Yusuf Papa. Free Download Na Di Angrez Ne Ghaalib Ko Pension in PDF.