Shauhar Ne Aaj

ek aurat bahut udas malul

nel galon par

honT mein sujan

baal bikhre hue pareshan se

us ke shauhar ne aaj mara hai

log kahte hain raat ghaeb thi

daur-e-nau ke latif goshon se

na-balad wo gharib shauhar hai

biwiya,n ghar se raat ko bahar

rah sakin to ye ain izzat hai

aaj ke daur ki sharafat hai

is nae daur ki nai tahzib

shauhar-e-be-shuur kya jaane

(524) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Shauhar Ne Aaj In English By Famous Poet Mohammad Yusuf Papa. Shauhar Ne Aaj is written by Mohammad Yusuf Papa. Read famous Poem Shauhar Ne Aaj for youth and Student by Mohammad Yusuf Papa. Free Download Shauhar Ne Aaj in PDF.