Hashr Mein Aur Hi Aasar Nazar Aate Hain

hashr mein aur hi aasar nazar aate hain

mere hami shah-e-abrar nazar aate hain

dil-e-betab ko ye kah ke sambhaala shab-e-gham

Thahar ab subh ke aasar nazar aate hain

qalb-e-momin ki ajab shan hai allah allah

sar jhukata hun to anwar nazar aate hain

shab-e-asra na raha ek bhi parda hail

saf haq ke unhen didar nazar aate hain

dast-e-qudrat ne banai hai wo surat teri

jis ke kaunain KHaridar nazar aate hain

chhup nahin sakte hain us parda nashin ke aashiq

hum ne dekhe hain sar-e-dar nazar aate hain

shafe-e-hashr shafaat pe kamar-basta hai

aaj har samt gunahgar nazar aate hain

faiz-e-saqi se hai mai-KHana-e-hasti aabaad

aaj mai-KHwar hi mai-KHwar nazar aate hain

apne baatin ko na dekha kabhi zahid tu ne

hum to mai-KHwar hain mai-KHwar nazar aate hain

abr aate hain jo furqat mein teri ai saqi

surat-e-dida-e-KHunbar nazar aate hain

ghuncha-e-dil jo tere hijr mein afsurda hai

bagh mein phul mujhe KHar nazar aate hain

maraz-e-ishq ki haalat koi hum se puchhe

wo to achchhe hain jo bimar nazar aate hain

hath KHali hai magar dil to ghani hai apna

chashm-e-maKHluq mein zardar nazar aate hain

chhuT jaenge musibat se ab insha-allah

hijr mein maut ke aasar nazar aate hain

Dagmagate hain qadam rah-e-wafa mein mere

marhale ishq ke dushwar nazar aate hain

is qadar mahw rahe hirs-o-hawa mein 'rasiKH'

ab to surat se gunahgar nazar aate hain

(571) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Hashr Mein Aur Hi Aasar Nazar Aate Hain In English By Famous Poet Mohammad Yusuf Rasikh. Hashr Mein Aur Hi Aasar Nazar Aate Hain is written by Mohammad Yusuf Rasikh. Read famous Poem Hashr Mein Aur Hi Aasar Nazar Aate Hain for youth and Student by Mohammad Yusuf Rasikh. Free Download Hashr Mein Aur Hi Aasar Nazar Aate Hain in PDF.