Tare Khile Hue Hain Shab-e-mahtab Hai

tare khile hue hain shab-e-mahtab hai

mashuq ham-piyala hai bazm-e-sharab hai

ye kya sitam hai wasl mein munh par naqab hai

qurban is haya ke ye kaisa hijab hai

baiThe ho mere samne pahlu mein ghair ke

phir mujh se puchhte ho tumhein kyun itab hai

ye faiz hai mere araq-e-infial ka

nar-e-jahim mere liye aab aab hai

taswir-e-ghair bhej ke us ne ba-laff-e-KHat

unwan ye likh diya tere KHat ka jawab hai

kyun chheDte hain mujh ko nakirain qabr mein

jo so raha ho us ko jagana azab hai

is ke bhi mustahiq nahin aghyar na-ba-kar

gali bhi aap den to wo durr-e-KHushab hai

mujh ko nahin hai shama ki hajat sar-e-mazar

mera har ek dagh-e-jigar aaftab hai

tum to farogh-e-husn mein bar-KHud ghalat rahe

main ne na kah diya tha ye dhoka hai KHwab hai

kaba jo ek buton ka purana maqam tha

zahid wahan ke shauq mein padar-rikab hai

bhule hue ho ahd-e-jawani pe kis liye

is se to paedar ziyaada habab hai

ruswa mere kiye se na hoga wo hashr mein

us ka sharik ye dil-e-KHana-KHarab hai

phande mein phans gaya dil-e-nadan hazar haif

kis ko KHabar thi zulf tumhaari tanab hai

kyun tum ne mere KHat ke parKHache uDa diye

naraaz ho to mujh se ho mujh par itab hai

hum ko nahin hai jis lab-e-nazuk se faiz kuchh

ho wo jo KHush-numai mein barg-e-gulab hai

mutrib ne rag chheDa hai aa kar shab-e-firaq

kya dil-KHarash naghma-e-chang-o-rabab hai

'rasiKH' mila hai apni riyazat ka phal mujhe

naKHl-e-suKHan jo aaj mera baryab hai

(623) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Tare Khile Hue Hain Shab-e-mahtab Hai In English By Famous Poet Mohammad Yusuf Rasikh. Tare Khile Hue Hain Shab-e-mahtab Hai is written by Mohammad Yusuf Rasikh. Read famous Poem Tare Khile Hue Hain Shab-e-mahtab Hai for youth and Student by Mohammad Yusuf Rasikh. Free Download Tare Khile Hue Hain Shab-e-mahtab Hai in PDF.