Lakh Jalwe Hain Nigahon Mein Nazaron Ki Tarah

lakh jalwe hain nigahon mein nazaron ki tarah

dil ke gulshan mein wo aae hain bahaaron ki tarah

har ghaDi ek naya rang naya aalam hai

zindagi hai teri aankhon ke ishaaron ki tarah

zindagi phir kisi tufan se uljhegi zarur

honT KHamosh hain dariya ke kinaron ki tarah

kitni pur-nur hui jati hai ab manzil-e-shauq

naqsh-e-pa un ke chamakte hain sitaron ki tarah

shoala-e-ishq ka bujhna nahin aasan 'mohan'

ashk aankhon se Dhalakte hain shararon ki tarah

(539) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Lakh Jalwe Hain Nigahon Mein Nazaron Ki Tarah In English By Famous Poet Mohan Javidani. Lakh Jalwe Hain Nigahon Mein Nazaron Ki Tarah is written by Mohan Javidani. Read famous Poem Lakh Jalwe Hain Nigahon Mein Nazaron Ki Tarah for youth and Student by Mohan Javidani. Free Download Lakh Jalwe Hain Nigahon Mein Nazaron Ki Tarah in PDF.