Achchha Hai Wo Bimar Jo Achchha Nahin Hota

achchha hai wo bimar jo achchha nahin hota

jab tajribe hote hain to dhoka nahin hota

jis lafz ko main toD ke KHud TuT gaya hun

kahta bhi to wo us ko gawara nahin hota

teri hi tarah aata hai aankhon mein tera KHwab

sachcha nahin hota kabhi jhuTa nahin hota

takzib-e-junun ke liye ek shak hi bahut hai

barish ka samay ho to sitara nahin hota

kya kya dar-o-diwar meri KHak mein gum hain

par us ko mera jism gawara nahin hota

ya dil nahin hota mere hone ke sabab se

ya dil ke sabab se mera hona nahin hota

kis ruKH se tayaqqun ko tabiat mein jagah den

aisa nahin hota kabhi waisa nahin hota

hum log jo karte hain wo hota hi nahin hai

hona jo nazar aata hai hona nahin hota

jis din ke guzarte hi yahan raat hui hai

ai kash wo din main ne guzara nahin hota

jab hum nahin hote yahan aate hain taghayyur

jab hum yahan hote hain zamana nahin hota

hum un mein hain jin ki koi hasti nahin hoti

hum TuT bhi jaen to tamasha nahin hota

(843) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Achchha Hai Wo Bimar Jo Achchha Nahin Hota In English By Famous Poet Mohsin Asrar. Achchha Hai Wo Bimar Jo Achchha Nahin Hota is written by Mohsin Asrar. Read famous Poem Achchha Hai Wo Bimar Jo Achchha Nahin Hota for youth and Student by Mohsin Asrar. Free Download Achchha Hai Wo Bimar Jo Achchha Nahin Hota in PDF.