Guzar Chuka Hai Zamana Visal Karne Ka

guzar chuka hai zamana visal karne ka

ye koi waqt hai tere kamal karne ka

bura na man jo pahlu badal raha hun main

mera tariqa hai ye arz-e-haal karne ka

mujhe udas na kar warna sakh TuTegi

nahin hai tajraba mujh ko malal karne ka

talash kar mere andar wajud ko apne

irada chhoD mujhe paemal karne ka

ye hum jo ishq mein bimar paDte rahte hain

ye ek sabab hai talluq bahaal karne ka

ajib shaKHs tha lauTa gaya mera sab kuchh

muawza na liya dekh-bhaal karne ka

phir is ke baad hamesha hi chup rahe 'mohsin'

KHiraj dena paDa arz-e-haal karne ka

(434) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Guzar Chuka Hai Zamana Visal Karne Ka In English By Famous Poet Mohsin Asrar. Guzar Chuka Hai Zamana Visal Karne Ka is written by Mohsin Asrar. Read famous Poem Guzar Chuka Hai Zamana Visal Karne Ka for youth and Student by Mohsin Asrar. Free Download Guzar Chuka Hai Zamana Visal Karne Ka in PDF.