Hum Apne Zehn Par Pahle Use Tari Karenge

hum apne zehn par pahle use tari karenge

phir is ke baad apne qalb ko jari karenge

hum apne zahir o baatin ka andaza laga len

phir us ke samne jaane ki tayyari karenge

mohabbat hum se us ko ho gai to Thik warna

hum apni sakh rakhne ko adakari karenge

ab aisi muflisi mein kya kahin ho aana-jaana

magar kab tak hum us se uzr-e-bimari karenge

mere kis kaam ke hain ab ye kawwe aur kabutar

abas barbaad ghar ki chaar-diwari karenge

bahut achchha teri qurbat mein guzra aaj ka din

bas ab ghar jaenge aur kal ki tayyari karenge

yahan ab log 'mohsin' zindagi karte kahan hain

zara se dukh mein roenge aza-dari karenge

(396) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Hum Apne Zehn Par Pahle Use Tari Karenge In English By Famous Poet Mohsin Asrar. Hum Apne Zehn Par Pahle Use Tari Karenge is written by Mohsin Asrar. Read famous Poem Hum Apne Zehn Par Pahle Use Tari Karenge for youth and Student by Mohsin Asrar. Free Download Hum Apne Zehn Par Pahle Use Tari Karenge in PDF.