Jaanan Gae Dinon Ka Talluq Bahaal Kar

jaanan gae dinon ka talluq bahaal kar

aaina ban gaya hun meri dekh-bhaal kar

apni hi rahguzar ke bujhata hai kyun charagh

har raste se mera guzarna muhaal kar

ek roz aisa ho ki charaghon ke ru-ba-ru

kuchh mein hunar karun koi tu bhi kamal kar

tahwil-e-intizar mein kab tak rahegi aankh

mere supurd meri nazar ka maal kar

Dar hai kahin main dasht ki jaanib nikal na jaun

baiTha hun apne panw mein zanjir Dal kar

'mohsin' bure dinon mein naya dost kaun ho

hai jis ka pahla qarz usi se sawal kar

(493) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Jaanan Gae Dinon Ka Talluq Bahaal Kar In English By Famous Poet Mohsin Asrar. Jaanan Gae Dinon Ka Talluq Bahaal Kar is written by Mohsin Asrar. Read famous Poem Jaanan Gae Dinon Ka Talluq Bahaal Kar for youth and Student by Mohsin Asrar. Free Download Jaanan Gae Dinon Ka Talluq Bahaal Kar in PDF.