Bana-e-ishq Hai Bas Ustuwar Karne Tak

bina-e-ishq hai bas ustuwar karne tak

falak ko chain kahan phir ghubar karne tak

ye kab kaha ki bharosa nahin hai wade par

main ji sakunga tera intizar karne tak

KHabar na thi wo mujhe qatl karne aaya hai

main us ko dost samajhta tha war karne tak

phir is ke baad kahan imtiyaz-e-daman-o-dil

junun hai shauq faqat iKHtiyar karne tak

wo KHu-e-ishq basi hai hamari fitrat mein

ki sath dete hain hum jaan nisar karne tak

kuchh is se pahle hi aa jae meri zist ki sham

hayat waqf ho jab din shumar karne tak

mere qabile ka 'mohsin' ye qaul-e-faisal hai

ki zulm zulm hai sabr iKHtiyar karne tak

(584) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Bana-e-ishq Hai Bas Ustuwar Karne Tak In English By Famous Poet Mohsin Bhopali. Bana-e-ishq Hai Bas Ustuwar Karne Tak is written by Mohsin Bhopali. Read famous Poem Bana-e-ishq Hai Bas Ustuwar Karne Tak for youth and Student by Mohsin Bhopali. Free Download Bana-e-ishq Hai Bas Ustuwar Karne Tak in PDF.