Chahat Mein Kya Duniya-dari Ishq Mein Kaisi Majburi

chahat mein kya duniya-dari ishq mein kaisi majburi

logon ka kya samjhane do un ki apni majburi

main ne dil ki baat rakhi aur tu ne duniya walon ki

meri arz bhi majburi thi un ka hukm bhi majburi

rok sako to pahli barish ki bundon ko tum roko

kachchi miTTi to mahkegi hai miTTi ki majburi

zat-kade mein pahron baaten aur milin to mohr ba-lab

jabr-e-waqt ne baKHshi hum ko ab ke kaisi majburi

jab tak hansta gata mausam apna hai sab apne hain

waqt paDe to yaad aa jati hai masnui majburi

ek aawara baadal se kyun main ne saya manga tha

meri bhi ye nadani thi us ki bhi thi majburi

muddat guzri ek wade par aaj bhi qaem hain 'mohsin'

hum ne sari umr nibahi apni pahli majburi

(3063) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Chahat Mein Kya Duniya-dari Ishq Mein Kaisi Majburi In English By Famous Poet Mohsin Bhopali. Chahat Mein Kya Duniya-dari Ishq Mein Kaisi Majburi is written by Mohsin Bhopali. Read famous Poem Chahat Mein Kya Duniya-dari Ishq Mein Kaisi Majburi for youth and Student by Mohsin Bhopali. Free Download Chahat Mein Kya Duniya-dari Ishq Mein Kaisi Majburi in PDF.