Jam-e-tahi Qubul Na Tha Gham Samo Liye

jam-e-tahi qubul na tha gham samo liye

phulon ke intizar mein kanTe chubho liye

mahrumi-e-dawam bhi kya lutf de gai

ye soch kar hanse hain ki ek umr ro liye

hum hain wo sada-lauh ki pa kar raza-e-dost

KHud apne hath apne hi KHun mein Dubo liye

jis samt se bhi bang-e-jaras aai dasht mein

diwangan-e-shauq usi samt ho liye

pichhla pahar hai shab ka ki hai sham ka saman

wo kya bata sakenge jo ek nind so liye

kya jabr hai subut-e-wafa pesh kijiye

aur un ka nam aae to phir lab na kholiye

'mohsin' zaban dijiye bazm-e-KHamosh ko

mohmal hai aaj lafz-e-suKHan kuchh to boliye

(725) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Jam-e-tahi Qubul Na Tha Gham Samo Liye In English By Famous Poet Mohsin Bhopali. Jam-e-tahi Qubul Na Tha Gham Samo Liye is written by Mohsin Bhopali. Read famous Poem Jam-e-tahi Qubul Na Tha Gham Samo Liye for youth and Student by Mohsin Bhopali. Free Download Jam-e-tahi Qubul Na Tha Gham Samo Liye in PDF.