Dekha Use Dil-gir To Dil-gir Hua Main

dekha use dil-gir to dil-gir hua main

kis dard ka rishta tha ki zanjir hua main

jis KHak ka paiwand hue nauhagar-e-harf

us KHak ki tasir se iksir hua main

ai baad-o-tar-o-taza mujhe ghaur se paDh le

qirtas-e-pazirai pe tahrir hua main

kis hairat-e-aina ke naKHchir hain donon

taswir hua wo kabhi taswir hua main

sau bar jo andar se main TuTa hun to ek bar

bahar se nazar aaya ki tamir hua main

jo main ne kabhi nind mein dekha hi nahin tha

dukh ye hai ki us KHwab ki tabir hua main

kis hijr se guzra hun ki be-saKHta 'mohsin'

laila-e-tamanna se baghal-gir hua main

(648) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Dekha Use Dil-gir To Dil-gir Hua Main In English By Famous Poet Mohsin Ehsan. Dekha Use Dil-gir To Dil-gir Hua Main is written by Mohsin Ehsan. Read famous Poem Dekha Use Dil-gir To Dil-gir Hua Main for youth and Student by Mohsin Ehsan. Free Download Dekha Use Dil-gir To Dil-gir Hua Main in PDF.