Faqat Kaghaz Pe Likha Bar-e-aziyat Utra

faqat kaghaz pe likha bar-e-aziyat utra

jab ghazal kah li to zangar-e-tabiat utra

bhuk se marte rahe KHema-e-aflas mein log

aasman se na magar KHwancha-e-nemat utra

man ne tawiz bhi bandha mere bazu pe magar

phir bhi sar se na ye sauda-e-mohabbat utra

dil-sarae mein tamannaen hain sar nehuDae

kaun basti mein wo mehman-e-masarrat utra

apne qad ki use pahchan bahut mushkil thi

sar se jab turra-e-dastar-e-fazilat utra

main na gham-KHwar-e-shahansha na talab-gar-e-kul

mujh pe kis waste aashob-e-qayamat utra

banu-e-shahr-e-adab ke liye is ahd mein harf

kitna be-maya-o-mahrum-e-sadaqat utra

sar ki faslon ko bacha le gae sab log magar

ek 'mohsin' sar-e-maidan-e-hilakat utra

(634) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Faqat Kaghaz Pe Likha Bar-e-aziyat Utra In English By Famous Poet Mohsin Ehsan. Faqat Kaghaz Pe Likha Bar-e-aziyat Utra is written by Mohsin Ehsan. Read famous Poem Faqat Kaghaz Pe Likha Bar-e-aziyat Utra for youth and Student by Mohsin Ehsan. Free Download Faqat Kaghaz Pe Likha Bar-e-aziyat Utra in PDF.