Tamasha Is Baras Aisa Hua Hai

tamasha is baras aisa hua hai

samundar sukh kar sahra hua hai

hamein bheja to hai duniya mein lekin

hamare sath kuchh dhoka hua hai

mujhe lagta hai jadugar ne mujh ko

kisi zanjir se bandha hua hai

jahan par shadyane baj rahe hain

mera lashkar wahin paspa hua hai

jo mere aur us ke darmiyan thi

usi diwar par jhagDa hua hai

asiran-e-qafas ye puchhte hain

muqiman-e-chaman ko kya hua hai

kai din se bas ek harf-e-mohabbat

sar-e-nok-e-zaban aTka hua hai

guzargahon mein sannaTa hai 'mohsin'

ghubar-e-ham-rahan baiTha hua hai

(771) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Tamasha Is Baras Aisa Hua Hai In English By Famous Poet Mohsin Ehsan. Tamasha Is Baras Aisa Hua Hai is written by Mohsin Ehsan. Read famous Poem Tamasha Is Baras Aisa Hua Hai for youth and Student by Mohsin Ehsan. Free Download Tamasha Is Baras Aisa Hua Hai in PDF.