Zalzalon Ne Kiya Yun Shahr Ko Mismar Ki Bas

zalzalon ne kiya yun shahr ko mismar ki bas

chiKH uThe KHauf se baam-o-dar-o-diwar ki bas

barishen le gai hain sara asasa mera

mehrban itna hua abr-e-guhar-bar ki bas

ab kisi dil mein nahin mimbar-o-mehrab ka KHabt

aise badnam hue jubba-o-dastar ki bas

itni mai bhi na mili honT zara tar karte

apni taqdir pe wo roe hain mai-KHwar ki bas

shahr-e-taKHrib mein kya KHwahish tamir karen

aise taraj hue kucha-o-bazar ki bas

ab ke KHurshid ne barsai hai wo tariki

sar-barahna nikal aai hai shab-e-tar ki bas

zulm wo zulm ajal DhunDhti phirti hai panah

sabr wo sabr ki sharminda hai aazar ki bas

yar-o-aghyar ne dekha hai tajjub se bahut

'mohsin'-ehsan pe thi wo tiron ki bauchhaar ki bas

(617) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Zalzalon Ne Kiya Yun Shahr Ko Mismar Ki Bas In English By Famous Poet Mohsin Ehsan. Zalzalon Ne Kiya Yun Shahr Ko Mismar Ki Bas is written by Mohsin Ehsan. Read famous Poem Zalzalon Ne Kiya Yun Shahr Ko Mismar Ki Bas for youth and Student by Mohsin Ehsan. Free Download Zalzalon Ne Kiya Yun Shahr Ko Mismar Ki Bas in PDF.