Bisat-e-zat Pathrai To Jaana

bisat-e-zat pathrai to jaana

KHabar aKHbar mein aai to jaana

safar aasan nahin hai paniyon ka

jo talwe aa gai kai to jaana

lahu kya chiz hai izhaar kya hai

ghazal kuchh aur bal khai to jaana

to wo bhi jhuT-chehra ji raha tha

jo us ki aankh bhar aai to jaana

wirasat sari apne nam kar li

magar us ne mujhe bhai to jaana

gharaunde mein bhi ek aatish-kada tha

hamari jaan pe ban aai to jaana

thi 'mohsin' ye bhi jins-e-na-mubarak

hui shohrat ki ruswai to jaana

(544) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Bisat-e-zat Pathrai To Jaana In English By Famous Poet Mohsin Jalganvi. Bisat-e-zat Pathrai To Jaana is written by Mohsin Jalganvi. Read famous Poem Bisat-e-zat Pathrai To Jaana for youth and Student by Mohsin Jalganvi. Free Download Bisat-e-zat Pathrai To Jaana in PDF.