Ek Pal Mein Zindagi Bhar Ki Udasi De Gaya

ek pal mein zindagi bhar ki udasi de gaya

wo juda hote hue kuchh phul basi de gaya

noch kar shaKHon ke tan se KHushk patton ka libas

zard mausam banjh-rut ko be-libasi de gaya

subh ke tare meri pahli dua tere liye

tu dil-e-be-sabr ko taskin zara si de gaya

log malbon mein dabe sae bhi dafnane lage

zalzala ahl-e-zamin ko bad-hawasi de gaya

tund jhonke ki ragon mein ghol kar apna dhuan

ek diya andhi hawa ko KHud-shanasi de gaya

le gaya 'mohsin' wo mujh se abr banta aasman

us ke badle mein zamin sadiyon ki pyasi de gaya

(3355) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Ek Pal Mein Zindagi Bhar Ki Udasi De Gaya In English By Famous Poet Mohsin Naqvi. Ek Pal Mein Zindagi Bhar Ki Udasi De Gaya is written by Mohsin Naqvi. Read famous Poem Ek Pal Mein Zindagi Bhar Ki Udasi De Gaya for youth and Student by Mohsin Naqvi. Free Download Ek Pal Mein Zindagi Bhar Ki Udasi De Gaya in PDF.