Imtihan Ke Liye Jafa Kab Tak

imtihan ke liye jafa kab tak

iltifat-e-sitam-numa kab tak

ghair hai bewafa pa tum to kaho

hai irada nibah ka kab tak

jurm malum hai zuleKHa ka

tana-e-dast-e-narasa kab tak

mujh pe aashiq nahin hai kuchh zalim

sabr aaKHir kare wafa kab tak

dekhiye KHak mein milati hai

nigah-e-chashm-e-surma-sa kab tak

kahin aankhen dikha chuko mujh ko

jaanib-e-ghair dekhna kab tak

na milaenge wo na aaenge

josh-e-labbaik-o-marhaba kab tak

hosh mein aa tu mujh mein jaan nahin

ghaflat-e-jurat-azma kab tak

le shab-e-wasl-e-ghair bhi kaTi

tu mujhe aazmaega kab tak

tum ko KHu ho gai burai ki

darguzar kijiye bhala kab tak

mar chale ab to us sanam se milen

'momin' andesha-e-KHuda kab tak

(624) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Imtihan Ke Liye Jafa Kab Tak In English By Famous Poet Momin Khan Momin. Imtihan Ke Liye Jafa Kab Tak is written by Momin Khan Momin. Read famous Poem Imtihan Ke Liye Jafa Kab Tak for youth and Student by Momin Khan Momin. Free Download Imtihan Ke Liye Jafa Kab Tak in PDF.