Kash Iqrar Kar Liya Hota

kash iqrar kar liya hota

do ghaDi pyar kar liya hota

han wahi zindagi ka maqsad tha

us se izhaar kar liya hota

gar charaghon mein KHun baqi tha

shab ko talwar kar liya hota

zinda rahne ka ek wasila tha

gham trahdar kar liya hota

koi shikwa nahin 'tapish' tum se

warna sarkar kar liya hota

(653) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Kash Iqrar Kar Liya Hota In English By Famous Poet Moni Gopal Tapish. Kash Iqrar Kar Liya Hota is written by Moni Gopal Tapish. Read famous Poem Kash Iqrar Kar Liya Hota for youth and Student by Moni Gopal Tapish. Free Download Kash Iqrar Kar Liya Hota in PDF.