Sach Ko Kahne Ka Hausla Hai Mujhe

sach ko kahne ka hausla hai mujhe

apne anjam ka pata hai mujhe

nind se KHwab ho gae ruKHsat

zindagi jaise ek saza hai mujhe

us ne raghbat se hath khinch liya

ab kahan koi sochta hai mujhe

dosti ka bharam hi toD diya

in dinon jaane kya hua hai mujhe

jis ki nindon mein KHwab mere the

jab se jaga hai DhunDta hai mujhe

chand jalte sawal bujhta dil

zindagi tu ne kya diya hai mujhe

sare rishte jab us ne toD liye

muD ke ab kya pukarta hai mujhe

ab hun bujhte diye sa suraj tha

in hawalon ko sochna hai mujhe

kyun 'tapish' uljhanon mein uljha hai

is ke bare mein jaanna hai mujhe

(632) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Sach Ko Kahne Ka Hausla Hai Mujhe In English By Famous Poet Moni Gopal Tapish. Sach Ko Kahne Ka Hausla Hai Mujhe is written by Moni Gopal Tapish. Read famous Poem Sach Ko Kahne Ka Hausla Hai Mujhe for youth and Student by Moni Gopal Tapish. Free Download Sach Ko Kahne Ka Hausla Hai Mujhe in PDF.