Apni Nazar Mein Aapko Ruswa Na Kar Sake

apni nazar mein aap ko ruswa na kar sake

hum dushmanon ke sath bhi dhoka na kar sake

sab raston ka ilm tha manzil qarib thi

afsos ham-safar ka irada na kar sake

aankhen asir zehn giraftar lab ba-qufl

un ke huzur ek ishaara na kar sake

un ka sitam to KHair bahut sah liya magar

un ke karam ka bojh gawara na kar sake

yaran-e-gham-gusar dilase tasalliyan

tinke the jin pe koi sahaara na kar sake

likhte rahe junun ki hikayat KHun-chakan

lekin kisi pe raaz ye ifsha na kar sake

zulmat-parast charagh the aise bhi kuchh 'raza'

jalte rahe magar jo ujala na kar sake

(705) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Apni Nazar Mein Aapko Ruswa Na Kar Sake In English By Famous Poet Moosa Raza. Apni Nazar Mein Aapko Ruswa Na Kar Sake is written by Moosa Raza. Read famous Poem Apni Nazar Mein Aapko Ruswa Na Kar Sake for youth and Student by Moosa Raza. Free Download Apni Nazar Mein Aapko Ruswa Na Kar Sake in PDF.