Un Se Iqrar-e-wafa Ki Aarzu Karte Rahe

un se iqrar-e-wafa ki aarzu karte rahe

umr-bhar ek be-zaban se guftugu karte rahe

jis taraf nazren uThin ek ajnabi chehra mila

aaina-KHane mein apni justuju karte rahe

tum se mil kar bhi raha hum ko tumhaara intizar

tum ko pa kar bhi tumhaari aarzu karte rahe

kaun jaane runuma hun kaun si jaanib se wo

is liye sajde pe sajda chaar-su karte rahe

husn ki gahraiyan taswir-dar-taswir thin

aaina hum aaine ke ru-ba-ru karte rahe

zindagi pabandiyon ka nam thi lekin 'raza'

hum to zanjiron ko bhi zeb-e-gulu karte rahe

(590) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Un Se Iqrar-e-wafa Ki Aarzu Karte Rahe In English By Famous Poet Moosa Raza. Un Se Iqrar-e-wafa Ki Aarzu Karte Rahe is written by Moosa Raza. Read famous Poem Un Se Iqrar-e-wafa Ki Aarzu Karte Rahe for youth and Student by Moosa Raza. Free Download Un Se Iqrar-e-wafa Ki Aarzu Karte Rahe in PDF.