Bujha Chuki Hai Hawa Jis Ko Wo Diya Bhi Main

bujha chuki hai hawa jis ko wo diya bhi main

magar ye dekh bahut der tak jala bhi main

tawil dhup ki shiddat hawaon ki yurish

sahi bhi main ne sar-e-dasht-e-gham khila bhi main

mile qayam ke ahkaam bhi mujhi ko yahan

masafaton ka parastar ek tha bhi main

mere nasib mein patjhaD ke raston ka safar

sada-bahaar dayaron se aashna bhi main

mujhi se aai thi milne udas chandni raat

agar ye jaanta hota to jagta bhi main

meri taraf thin kabhi barishen bhi phulon ki

hisar-e-sang-o-sada mein ghira hua bhi main

ye sochta hun kahun KHud ko 'qasmi'! main kya?

sukut bhi mere andar bahut sada bhi main

(371) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Bujha Chuki Hai Hawa Jis Ko Wo Diya Bhi Main In English By Famous Poet M.R.Qasmi. Bujha Chuki Hai Hawa Jis Ko Wo Diya Bhi Main is written by M.R.Qasmi. Read famous Poem Bujha Chuki Hai Hawa Jis Ko Wo Diya Bhi Main for youth and Student by M.R.Qasmi. Free Download Bujha Chuki Hai Hawa Jis Ko Wo Diya Bhi Main in PDF.