Guman Ki Qaid-e-hisar-e-qayas Se Niklo

guman ki qaid-e-hisar-e-qayas se niklo

kisi tarah se bhi is sabz ghas se niklo

ye shahr-e-sang hai shahr-e-wafa nahin hai ye

agar nikalna hai hosh-o-hawas se niklo

wagarna waqt tumhein hashiye pe rakh dega

yaqin ke sehr se aashob-e-as se niklo

ye kaisa nashsha hai aaKHir jo TuTta hi nahin

koi pukar raha hai gilas se niklo

kahan talak main nigahon ko dun fareb apni

kabhi to gard-e-adam ke libas se niklo

'mubarak' aag ke dariya se bhi guzarna hai

dahakti dhup se sahra ki pyas se niklo

(499) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Guman Ki Qaid-e-hisar-e-qayas Se Niklo In English By Famous Poet Mubarak Ansari. Guman Ki Qaid-e-hisar-e-qayas Se Niklo is written by Mubarak Ansari. Read famous Poem Guman Ki Qaid-e-hisar-e-qayas Se Niklo for youth and Student by Mubarak Ansari. Free Download Guman Ki Qaid-e-hisar-e-qayas Se Niklo in PDF.