Phisalne Wala Tha KHud Ko Magar Sambhaal Gaya

phisalne wala tha KHud ko magar sambhaal gaya

ajib shaKHs tha wo baat hans ke Tal gaya

badalne wali hai rut saeban se niklo

jo shoala-bar tha wo abr barshgal gaya

tum apne aap ko pahchan bhi na paoge

wo raushni mein andhera agar uchhaal gaya

naqab apni burai pe Dalni thi use

wo la ke KHak meri nekiyon pe Dal gaya

qusur-war main Thahraun aaine ko kyun

jo bolta tha tera ab wo KHadd-o-KHal gaya

mizaj apna 'mubarak' badal diya main ne

KHayal us ka gae waqt ki misal gaya

(600) Peoples Rate This


Fatal error: Uncaught PDOException: SQLSTATE[42S22]: Column not found: 1054 Unknown column 'id' in 'ORDER BY' in /home/darsaal/htdocs/darsaal.com/poetry/poem_en.php:544 Stack trace: #0 /home/darsaal/htdocs/darsaal.com/poetry/poem_en.php(544): PDOStatement->execute() #1 {main} thrown in /home/darsaal/htdocs/darsaal.com/poetry/poem_en.php on line 544