Ab Kaun Baat Rah Gai Ye Baat Bhi Gai

ab kaun baat rah gai ye baat bhi gai

yani kabhi kabhi ki mulaqat bhi gai

kahte hain wo ki jazba-e-dil ab fareb hai

jab dil gaya to dil ki karamat bhi gai

jo kuchh kiya wo tu ne kiya iztirab-e-shauq

sau aafaten bhi aain meri baat bhi gai

dastar aap ki jo hui rehn-e-mai-kada

tauba hamari qibla-e-hajat bhi gai

wade ki kaun raat qayamat ka din nahin

aasar-e-subh kahte hain ye raat bhi gai

mana ki din sidhaare 'mubarak' shabab ke

rangin tabiaton se mulaqat bhi gai

(646) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Ab Kaun Baat Rah Gai Ye Baat Bhi Gai In English By Famous Poet Mubarak Azimabadi. Ab Kaun Baat Rah Gai Ye Baat Bhi Gai is written by Mubarak Azimabadi. Read famous Poem Ab Kaun Baat Rah Gai Ye Baat Bhi Gai for youth and Student by Mubarak Azimabadi. Free Download Ab Kaun Baat Rah Gai Ye Baat Bhi Gai in PDF.