Mohabbat Mein Thani Aksar Yahan Tak
mohabbat mein Thani aksar yahan tak
ki pahunche marke tir o kaman tak
chale nawak khinchi zalim kaman tak
kahan tak imtihan aaKHir kahan tak
chale jate hain aawaz-e-jaras par
pahunch jaenge bichhDe karwan tak
hawa-e-shauq ke jhonke salamat
rahoge tum pas-e-parda kahan tak
na wo ayyar mujh se puchhta hai
na dil ki baat aati hai zaban tak
usi sar ko sar-e-shorida kahiye
jo pahunche us ke sang-e-astan tak
niyaz o naz ke charche rahenge
hamari aur tumhaari dastan tak
'mubarak' ko koi din aur sun lo
bayan ka lutf hai us KHush-bayan tak
(504) Peoples Rate This