Samjhaen Kis Tarah Dil-e-na-karda-kar Ko
samjhaen kis tarah dil-e-na-karda-kar ko
ye dosti samajhta hai dushman ke pyar ko
nikla chamak ke mohr-e-qayamat bhi aur hum
baiThe rahe chhupae dil daghdar ko
saqi na mai na jam na mina na mai-kada
aamad bahaar ki ho mubarak bahaar ko
kya kya bigaD mein bhi adaen hain dil-fareb
kitne banaw aate hain gesu-e-yar ko
naseh ka imtihan 'mubarak' ho ek din
thoDi pila ke dekhiye us hoshiyar ko
(586) Peoples Rate This