Tumhaari Shart-e-mohabbat Kabhi Wafa Na Hui

tumhaari shart-e-mohabbat kabhi wafa na hui

ye kya hui tumhin kah do agar jafa na hui

qadam qadam pe qadam laDkhaDae jate the

tamam umr bhi tai manzil-e-wafa na hui

tumhin kaho tumhein na-ashna kahen na kahen

ki aashna se ada rasm-e-ashna na hui

teri ada ki qasam hai teri ada ke siwa

pasand aur kisi ki hamein ada na hui

hamin ko dekh ke KHanjar nikalte the aap

hamare baad to ye rasm phir ada na hui

KHuda ne rakh liya naz o niyaz ka parda

ki roz-e-hashr meri un ki barmala na hui

(592) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Tumhaari Shart-e-mohabbat Kabhi Wafa Na Hui In English By Famous Poet Mubarak Azimabadi. Tumhaari Shart-e-mohabbat Kabhi Wafa Na Hui is written by Mubarak Azimabadi. Read famous Poem Tumhaari Shart-e-mohabbat Kabhi Wafa Na Hui for youth and Student by Mubarak Azimabadi. Free Download Tumhaari Shart-e-mohabbat Kabhi Wafa Na Hui in PDF.