Apne Hathon Ki Lakiren Na MiTa Rahne De

apne hathon ki lakiren na miTa rahne de

jo likha hai wahi qismat mein likha rahne de

sach agar puchh to zinda hun unhin ki KHatir

tishnagi mujh ko sarabon mein ghira rahne de

aah ai ishrat-e-rafta nikal aae aansu

main na kahta tha ki itna na hansa rahne de

us ko dhundla na sakega kabhi lamhon ka ghubar

meri hasti ka waraq yunhi khula rahne de

shart ye hai ki rahe sath wo manzil manzil

warna zahmat na kare baad-e-saba rahne de

yun bhi ehsas-e-alam shab mein siwa hota hai

ai shab-e-mah meri had mein na aa rahne de

zindagi mere liye dard ka sahra hai 'shamim'

mere mazi mujhe ab yaad na aa rahne de

(669) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Apne Hathon Ki Lakiren Na MiTa Rahne De In English By Famous Poet Mubarak Shamim. Apne Hathon Ki Lakiren Na MiTa Rahne De is written by Mubarak Shamim. Read famous Poem Apne Hathon Ki Lakiren Na MiTa Rahne De for youth and Student by Mubarak Shamim. Free Download Apne Hathon Ki Lakiren Na MiTa Rahne De in PDF.