Main Wo Ek Jins-e-giran Hun Sar-e-bazar Ki Bas

main wo ek jins-e-giran hun sar-e-bazar ki bas

hath yun milte hain hasrat se KHaridar ki bas

aaj tak ahl-e-wafa se na kisi ne puchha

aur jari rahe shughl-e-rasan-o-dar ki bas

chilchilati hui ye dhup ye tapte maidan

aur idhar hausla-e-dil ka wo israr ki bas

aa gaya yazdan ko taras aaKHir kar

itna sharminda-o-nadim tha gunahgar ki bas

shiddat-e-shauq mein had se na guzar jae kahin

koi kar de dil-e-nadan ko KHabar-dar ki bas

ji yahi kahta hai ab chal ke wahin ja Thahro

hum ne viranon mein dekhe hain wo aasar ki bas

daulat-e-aish mila karti hai na-danon ko

ahl-e-idrak jiya karte hain yun KHwar ki bas

chup hi is daur mein rahiye to munasib hai 'shamim'

kan yun rakhte hain warna dar-o-diwar ki bas

(605) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Main Wo Ek Jins-e-giran Hun Sar-e-bazar Ki Bas In English By Famous Poet Mubarak Shamim. Main Wo Ek Jins-e-giran Hun Sar-e-bazar Ki Bas is written by Mubarak Shamim. Read famous Poem Main Wo Ek Jins-e-giran Hun Sar-e-bazar Ki Bas for youth and Student by Mubarak Shamim. Free Download Main Wo Ek Jins-e-giran Hun Sar-e-bazar Ki Bas in PDF.