Aalam-e-wajd Se Iqrar Mein Aata Hua Main

aalam-e-wajd se iqrar mein aata hua main

qissa-e-dard bana KHwab sunata hua main

mansab-e-dar pe aaya hun baDi shan ke sath

hakim-e-shahr tere hosh uData hua main

zindagi hijr hai aur hijr bhi aisa hai ki bas

sans tak haar chuka wasl kamata hua main

chandni raat mein dariya si rawan yaad ke sath

kaif o masti mein chala jhumta gata hua main

yar dekho to kabhi mausam-e-hijran mein idhar

KHak hota hun yahan dasht sajata hua main

shaKH-e-imkan se teri yaad ki mahkar chunun

ek bhanwra sa teri or ko jata hua main

halqa-e-sher se guzrunga mohabbat mein 'said'

dil ke jazbaat ko alfaz mein lata hua main

(571) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Aalam-e-wajd Se Iqrar Mein Aata Hua Main In English By Famous Poet Mubashshir Saeed. Aalam-e-wajd Se Iqrar Mein Aata Hua Main is written by Mubashshir Saeed. Read famous Poem Aalam-e-wajd Se Iqrar Mein Aata Hua Main for youth and Student by Mubashshir Saeed. Free Download Aalam-e-wajd Se Iqrar Mein Aata Hua Main in PDF.