Kab Meri Halqa-e-wahshat Se Rihai Hui Hai

kab meri halqa-e-wahshat se rihai hui hai

dil ne ek aur bhi zanjir banai hui hai

aur kya hai mere daman mein mohabbat ke siwa

yahi daulat meri mehnat se kamai hui hai

ishq mein jurat-e-tafriq nahin qais ko bhi

tu ne kyun dasht mein diwar uThai hui hai

teri surat jo main dekhun to guman hota hai

to koi nazm hai jo wajd mein aai hui hai

ek pari-zad ke yaadon mein utar aane se

zindagi wasl ki barish mein nahai hui hai

apni miTTi se mohabbat hai mohabbat hai mujhe

isi miTTi ne meri shan baDhai hui hai

samne baiTh ke dekha tha use wasl ki raat

aur wo raat hi aasab pe chhai hui hai

tum gae ho ye watan chhoD ke jis din se 'said'

ek udasi dar o diwar pe chhai hui hai

(512) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Kab Meri Halqa-e-wahshat Se Rihai Hui Hai In English By Famous Poet Mubashshir Saeed. Kab Meri Halqa-e-wahshat Se Rihai Hui Hai is written by Mubashshir Saeed. Read famous Poem Kab Meri Halqa-e-wahshat Se Rihai Hui Hai for youth and Student by Mubashshir Saeed. Free Download Kab Meri Halqa-e-wahshat Se Rihai Hui Hai in PDF.