Wo Dil Hairan Nahin Hote

hawa aur dhup ka qarnon purana sath hai

aur zindagi mauj-e-rawan hai

wo kisi pal ruk nahin sakti

na-jaane kitne barson ki ye pur-asrar tanhai

mere dil mein

khajuron ke daraKHton ki tarah

yun istada hai

ki ujDe qartaba ke sare manzar

meri aankhon mein larazte hain

na-jaane kitne barson ki udasi ke

andhere gumbadon mein gunjte

jaan-soz andeshe

musalsal mujh pe yurish karte hain

aur undulus ke kucha-o-bazar aur baghon ko

fauladi sumon se raundte

ghoDon ki Tapon se

mera sina dhamakta hai

mere ehsas ki ye ranjishen

aur ruh ke ye dukh kisi ek saat-e-saffak ne

mujh ko nahin saunpe

ki ye to asal mein wo jal hai

tariKH ki makDi jo sadiyon se

mere andar kahin

chup-chap bunti hai

hawa aur dhup meri zindagi ke manzaron mein

be-sabaati ki alamat hain

zamin ki gardishon se tez hai

haalat ki gardish

isi ne mere sar mein KHak Dali hai

yahi to meri aankhon mein

pighalti barf ki diwar chunti hai

ye kis ki baat sunti hai

meri sanson mein

gharnata ki dhul

uDti hai

aur KHamosh dehli ki

hawaen sarsaraati hain

hun

hawa ka ruKH badalne par

wo dil hairan nahin hote

(639) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Wo Dil Hairan Nahin Hote In English By Famous Poet Mubeen Mirza. Wo Dil Hairan Nahin Hote is written by Mubeen Mirza. Read famous Poem Wo Dil Hairan Nahin Hote for youth and Student by Mubeen Mirza. Free Download Wo Dil Hairan Nahin Hote in PDF.