Wahi Daricha-e-jaan Hai Wahi Gali Yaro

wahi daricha-e-jaan hai wahi gali yaro

magar nigah irada badal chuki yaro

kitab-e-haal ka koi waraq nahin palTa

kitab-e-ahd-e-guzishta bhi kab paDhi yaro

hum apne zehn ki almariyon mein DhunDenge

wo ek sal wo ek mah wo ghaDi yaro

is ek moD pe tanha hamin akele hain

ki pichhle moD pe duniya bhi sath thi yaro

KHuda ka shukr ki sab KHairiyat se hai yani

mere wajud mein halchal hai aaj bhi yaro

ye aur baat ki un ko yaqin nahin aaya

pa koi baat to barson mein hum ne ki yaro

(607) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Wahi Daricha-e-jaan Hai Wahi Gali Yaro In English By Famous Poet Mughal Farooq Parwaz. Wahi Daricha-e-jaan Hai Wahi Gali Yaro is written by Mughal Farooq Parwaz. Read famous Poem Wahi Daricha-e-jaan Hai Wahi Gali Yaro for youth and Student by Mughal Farooq Parwaz. Free Download Wahi Daricha-e-jaan Hai Wahi Gali Yaro in PDF.