Lafzon Ki Dukan Mein

kali billi ne ye bhi nahin socha ki main kisi nind mein KHalal ho rahi hun

us ko to chuhon se matlab hai

aur ye kam-baKHt apni bilon mein chhupe kyun nahin rahte

azal se yahi ho raha hai

ghaDi ne shayad bara baja diye hain

ye KHuda ke aaram ka waqt hai

aur wo shab bedar use sone nahin dete

apne burte par gunah karte to duaon ki naubat hi kyun aati

lekin ye baat un ki samajh mein nahin aaegi

baaton ke pher ne hi hum ko janam diya hai

warna zamin ke kokh kahan thi

phir hum ne jannat banai aur use jahannam mein jhonk diya

ab ye pahchanna baDa mushkil hai ki kaun kahan se shurua hota hai aur kaun kahan KHatm hoti hai

pahle daeron se zawiye nikalte the

ab zawiye daere banate hain

muKHtasar ye ki dalilon ne apna kaam chhoD diya hai

(619) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Lafzon Ki Dukan Mein In English By Famous Poet Mughni Tabassum. Lafzon Ki Dukan Mein is written by Mughni Tabassum. Read famous Poem Lafzon Ki Dukan Mein for youth and Student by Mughni Tabassum. Free Download Lafzon Ki Dukan Mein in PDF.