Ab Yahan Koi Nahin Pahle Yahan Tha Koi

ab yahan koi nahin pahle yahan tha koi

jis ke dam se ye makan aur makan tha koi

daera daera tha jis se wo markaz na raha

jab wo tha nuqta-e-be-qibla kahan tha koi

nang-e-maidan hai jo ab zinat-e-maidan tha kabhi

ab jahan gum hun wahan pahle rawan tha koi

meri shaKHen mere patte mujhe sab chhoD gae

jaise main bais-e-yalghaar-e-KHizan tha koi

yahi sae the magar tez thi jab shauq ki lau

fitna-e-dil tha koi aafat-e-jaan tha koi

hun wo lamha ki na manoge rahunga jab tak

na rahunga to KHayal aaega han tha koi

raaz mera na khulega ye khulega mere baad

kuchh na tha jis pe muqarrar nigaran tha koi

aasmanon se tu kya toD ke laega 'muhib'

qaht kya chand ke TukDon ka yahan tha koi

(553) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Ab Yahan Koi Nahin Pahle Yahan Tha Koi In English By Famous Poet Muhib Aarfi. Ab Yahan Koi Nahin Pahle Yahan Tha Koi is written by Muhib Aarfi. Read famous Poem Ab Yahan Koi Nahin Pahle Yahan Tha Koi for youth and Student by Muhib Aarfi. Free Download Ab Yahan Koi Nahin Pahle Yahan Tha Koi in PDF.