Apni Aag Mein Bhunti Jae Bunti Jae Kafan Apna

apni aag mein bhunti jae bunti jae kafan apna

goya isi liye chhoDa hai chingari ne watan apna

jhonke kuchh be-jaan hawa ke aate hain apne-ap chale

jhum uThte hain chaman ke pankhe us ko jaan ke fan apna

KHud-raw sabze chheD rahe hain jangal ke qanun ke rag

kab tak bagh mein paDhwaenge KHutba sarw-o-saman apna

dariya-dil hai sahil mera magar yahan har sail-e-bala

sail hai ki baDha aata hai phailae daman apna

mil to jae apne bhanwar ko dariya ke chakkar se najat

lekin aah agar rah jaun ho kar main hama-tan apna

shama ki lau kya shauq-e-baqa mein shama ko chaTe jati hai

KHud ko tarasti rah jati hai ruh miTa ke badan apna

koi 'muhib' aazurda kyun ho meri talKH-kalami se

apni hi jaanib rahta hai akasr ru-e-suKHan apna

(534) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Apni Aag Mein Bhunti Jae Bunti Jae Kafan Apna In English By Famous Poet Muhib Aarfi. Apni Aag Mein Bhunti Jae Bunti Jae Kafan Apna is written by Muhib Aarfi. Read famous Poem Apni Aag Mein Bhunti Jae Bunti Jae Kafan Apna for youth and Student by Muhib Aarfi. Free Download Apni Aag Mein Bhunti Jae Bunti Jae Kafan Apna in PDF.