Dushman Ki Taraf Dosti Ka Hath
mere jism mein zahr hai tera
mera dil hai tera ghar
tu maujud hai sath hamesha
KHauf sa ban kar sham-o-sahar
tera asar hai mere lahu par
jaise chand samundar par
itni zard hai rangat teri
jam jati hai us pe nazar
tu hai saza mere hone ki
ya hai mera zad-e-safar
karega tu bimar mujhe ya
banega na-malum ka Dar
rahega daim gahri tah mein
jaise andhere mein koi dar
gum kar dega rah mein mujh ko
ya dega manzil ki KHabar
tu hai mera dost ki dushman
ye to bata mujh ko ai zar
(2264) Peoples Rate This