Lazzat-e-hijr Ne TaDpaya Bahut Ruswa Kiya
lazzat-e-hijr ne taDpaya bahut ruswa kiya
toD kar phenka mere zabt ko gum-gashta kiya
aankh se TuT ke barsa mere KHwabon ka lahu
dil ki dahliz pe tanhai ne jab sajda kiya
main wahan rah gaya dekha mujhe logon ne yahan
hae taqsim mujhe ishq ne ye kaisa kiya
aagahi baKHsh ke tartib diya pahle mujhe
ishq ne ruh ko is jism se phir chalta kiya
KHamushi ko na samajh le wo kahin meri shikast
hashr ji-jaan mein jaan-lewa sa KHud barpa kiya
KHud se laDte hue le aaya hun main KHud ko wahan
mere sae ne juda mujh se jahan rasta kiya
ho na jaun kahin gum-gashta na miT jaun kahin
be-sabab dil ki tabahi ka miyan charcha kiya
KHauf tha dasht utar jae na mujh mein tab hi
chashm-e-tishna ka makin bahta hua dariya kiya
KHud se bichhDa to khula raaz ye dil par mere
apni pahchan ho qismat ne mujhe tanha kiya
dil pe kya mauj-e-'nasimi' ne mere bosa dhara-
dil ki wahshat pe takallum ne mere qabza kiya
(1764) Peoples Rate This